Muddat hui hai bichhde hue apne aap se,
Dekha jo aaj tum ko to hum yaad aa gaye
- Saghar Khayyami
Boht kuch kehna tha tum say,
Lekin tum haal na samjhe to baatein kya samjhoge.
Na zakhm bhare, na sharaab sahara hui,
Na wo laute, na mohabbat doobara hui.
Yaad karta hai tujhe aaj bhi vo shaqs,
Jo bhari mehfilon mein aaj bhi tanha hai.
Ek nafrat hee hai jiska yakeen jaldi ho jata hai,
Warna mohabbat ka yakeen dilaane mein umar hee beet jati hai.
Nahi mila hai koi tujhsa aaj tak mujko,
Aur phir ye sitam alag hai ki mila tu bhi nahi.
Humari naa neend puri huyi,
naa khawab, aur naa mohabbat.
Saari khushiyaan mila kar dekhi hain,
Tere na milne ka gham zyada hai.
Na puchho husn ki taarif hum se,
Mohabbat jis se hui bas wo haseen hai.
Itni haseen toh na thi zindagi,
Ke jitni barbaad ho gayi.
Kisi se dil lag jaane ko mohabbat nahi kehte,
Jinke bagair dil na lage usse mohabbat kehte hain.
Hum baney thay tabaah hone ko,
Tera milna to ek bahana tha.
Iss daur ke insaanon mein wafa dhoondh rahe ho,
Badey nadaan ho zeher kee seeshee mein dawa dhoondh rahe ho.
Ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa,
Aa phir se mujhe chhor ke jaane ke liye aa.
Ye mujhe chain kyu nhi parta
Ek hee shakhs tha jahan mein kya?
Mohabbat kya hai, Us insan se pucho
Jisne dil tootne ke bad bhi, Uska intezar kiya hai.
Mere sabr ki inteha kya puchte ho faraz,
Wo mujh se lipat ke royi kisi aur ke liye.
1/24/2023 09:37:00 am
Share:
0 comments: