© Subham Ram. Powered by Blogger.

Friday 13 January 2023

Ek tarfa mohabbat ke qissay mujhe mat sunao

Posted by Subham  |  No comments

Ek tarfa mohabbat ke qissay mujhe mat sunao,
Maine uske baad khud se bhi muhabbat nahi ki.



Pichhle baras tha khauf, tujhe kho na doon.
Ab ke baras dua hai, tera saamna na ho.



Do ghadi ke saathi ko humsafar samajhte hain,
Kitne puraane hain hum, iss naye zamaane mein.



Na hawas tere jism ki,
Na shauk tere husn ka.
Bin matlab sa ladka hoon,
Teri saadgi par marta hoon.



Khoob yaad rahega ye daur humko,
Kya khoob tarse hain, ek shaks ke liye.



Socha tha ki batayenge tum ko dukh dard apna,
Tumne to itna bhi na poochha ki udaas kyun ho.



Bahut nazdeek aati ja rahi ho,
Bichhadne ka iraada kar liya hai kya.
- Jaun Elia



Jo guzaari na ja saki hum se,
Hum ne woh zindagi guzaari hai.
- Jaun Elia



Woh bhi naye logo mein mashruf ho gayi,
Humne bhi usey hamari yaad dilana chor diya.
- Wajid Shaikh



Tere aane ki ummeed bhi nahin,
Aur tera intezaar bhi khatam nahin hota.



Sher-O-Shaayri to bas dil behlaane ka zariya hai,
Warna lafz kaaghaz pe utaarne se mehboob lauta nahi karte.



Alfaazon ke deewane to bahut milenge dost,
Talaash uski karna jo khamoshi padh le.



Manzil maut hai,
Safar ka mazaa lo.



Bichhad kar phir milenge, yaqeen kitna tha,
Khwaab hee tha magar, haseen kitna tha.



Chalo ab jaane bhi do, kya karoge dastaan sunkar,
Khaamoshi tum samjhoge nahi, aur bayaan humse hoga nahi.



Ye dukh nahi, ke andheron se sulah ki humne,
Malaal yeh hai, ke ab subah ki talab bhi nahi.
- Parveen Shakir



Ishq sukoon bhi deta hai,
Agar sahi insaan se ho toh.



Muhabbat namukammal ho toh bhi
Bhool jaane mein zindagi beet jati hai.



Uske lahje mein barf thi lekin,
Chhu ke dekha to haath jalne lage.
- Amjad Islam Amjad



Meri udaasiyaan tumhein kaise nazar aayengi,
Tumhein dekh kar to hum muskuraane lagte hain.



Hansta to main roz hun,
Magar khush hue zamaana ho gaya hai.



Yeh hamesha hanste muskuraate log,
Zara sa zor se galey lagao to ro dete hain.



Itni zyada aadat mat daalo kisi ki,
Kyun ki andheron me toh saya bhi saath chhor deta hai.



Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siva,
Rahatein aur bhi hain vasl ki rahat ke siva.
- Faiz Ahmed Faiz



Aaj ik aur baras beet gaya us ke bagair,
Jis ke hote hue hote the zamaane mere.
- Ahmed Faraz



Sau bar dil se kaha, chal bhul ja usko,
Har baar dil ne kaha, tum dil se nahi kehte.



Maut hee insaan ki dushman nahi,
Zindagi bhi jaan le kar jayegi.
- Arsh Malsiyani



Jab khwaahishein marr jaati hain,
Toh sirf samjhaute baki reh jate hain.



One of the saddest things is when two people get to know each other inside out, secrets, fears, thoughts, favorite things, what they hate, whatever they love, and then they go back to being strangers. In a blink of an eye, a moment's tragedy becomes a lifetime's misery.

1/13/2023 10:37:00 pm Share:
About Subham Ram

Subham is an undergraduate student pursuing his studies in IT. He is a curious fellow who wants to know everything about everything except somethings. He loves learning web-designing, singing, reading novels and a little bit of writing. Follow him on Twitter.

0 comments:

Get updates in your email box
Complete the form below, and we'll send you the best coupons.

Deliver via FeedBurner

Kolkata Bloggers

Tweets by Subham

Recent News

About Us

This is a personal blog of Subham who writes here to help others with tech-solutions or to express himself. So here 'US' consists of Subham only. This blog is purely a work of emotion driven writing except the technology posts. Thanks for visiting.
© 2014- An Ordinary Human. Responsive Template by Subham Ram
Proudly Powered by Blogger. ® All Rights Reserved.
back to top