Kisi ko dekhne ke liye
Ek pal kaafi hai.
Usay pasand karne ke liye
Ek din kaafi hai.
Us se ishq karne ke liye
Ek saal kaafi hai.
Lekin us ek chehre ko bhoolne ke liye
Ek zindagi kam hai.
- Kumar Vishwas
Farq tha hum dono
Ki mohobbat mein.
Mujhe us se hee thi.
Usay mujh se bhi thi.
I met you and I was afraid that I might like you.
But I ended up liking you and was afraid that I might fall in love with you.
But eventually I fell in love with you and was afraid to lose you.
I lost you and now I am afraid I will never be able to forget you.
- Subham
Khush to wo rehte hain
Jo jismon se khelte hain.
Rooh se mohabbat karne walon ko
Aksar tadapte dekha hai.
Ab to koi showk, koi tamanna, koi aarzoo baaki nahi hai.
Ab to bas zindagi guzar jaye, bas itna hee kaafi hai.
Kaise kar lete hain log ishq, do chaar ke sath.
Mujhe to uske baad kisi ka khayaal tak nahi aaya.
Wo bohot kareeb aakar door hui hai mujhse.
Isliye ab mujhe kisi se nazdeekiyaan pasand nahi.
Bichhad gaye to ye dil umr bhar lagega nahi,
Lagega lagne laga hai, magar lagega nahi.
Nahi lagega use dekhkar, magar khush hai,
Main khush nahi hoon magar, dekh kar lagega nahi.
Hai koi jisse teri yaari na ho.
Aadmi itna bhi baazaari na ho.
Mujhse bhi ho kar wo aage badh chuka.
Dost bach ke ab teri baari na ho.
- Umair Najmi
Maine puchha tha, ke izhaar nahi ho sakta
Dil pukara ke, khabardar, nahi ho sakta.
Jisse puchein tere baare mein, yehi kehta hai
Khoobsurat hai wafadaar nahi ho sakta.
Nasha nahi hai magar ladkhadana chahte hain
Teri sharab ki izzat bachana chahte hain.
Humara mas-la ye hai ek shakhs se hum
Kayi tarah ka talluq banana chahte hain.
Hum isko lipatne ki ijaazat nahi dete.
Koshish to bohot karti hai tanhaai humari.
Chaand nikle aur uski izzat afzaai na ho.
Kaise mumkin hai nagar mein koi saudaai na ho.
Jisko apne baazuon mein bharke khush baitha hoon main.
Ya ilaahi ye mera ehsaas-e-tanhaai na ho.
Kyon na ei shakhs tujhe haath laga kar dekhun
Tu mere vehem se badhkar bhi to ho sakta hai
Ye jo hai phool hatheli pe ise bhool na jaana
Mera dil jism se baahar bhi to ho sakta hai
Kya zaroori hai ke hum haar ke jeetein Taabish.
Ishq ka khel barabar bhi to ho sakta hai.
- Abbas Tabish
4/26/2024 05:30:00 pm
Share:
0 comments: