Itne kareeb ho gaye thay,
Mujhe laga mere ho gaye thay.
Ek hee shakhs ki to baat hai maula,
Saara jahan kis ne maanga hai.
Uske chehre par is qadar noor tha,
Ki uski yaadon mein rona manzoor tha,
Be’wafa bhi nahi keh sakte usko,
Pyaar toh humne kiya, woh toh be-qasoor tha.
Chalo tum saath mat dena,
Mujhe beshak bhula dena.
Naye sapne saja lena,
Naye rishte bana lena.
Bhula dena sabhi waade,
Sabhi qasme, sabhi naate.
Tumhe jaan ijazaat hai,
Jo dil chahe wo sab karna.
Magar ab kisi se kabhi
Adhura pyaar na karna.
Zindagi chain se guzar jaaye,
Wo agar zahen se utar jaaye.
Jo badal jaaye, woh yaar kaisa?
Jo chor jaye, woh saath kaisa?
Log kehte hain, tujhe phir se pyaar hojayega,
Par jo phir se hojaye, woh pyaar kaisa?
Zindagi ko tanha viraano me rehne do,
Ye wafaa ki baatein khayalon me rehne do,
Haqikat me azmaane se toot jaate hain dil aksar,
Ye ishq, dosti aur mohabbat, kitaabon me rehne do.
Tamasha dekh rahe the jo doobne ka mere,
Meri talaash mein nikle hain kashtiyaan le kar.
Mehfil mein chal rahi thi humare qatl ki taiyaari,
Hum aaye toh bolne lage bahot lambi umar hai tumhari.
3/10/2023 05:01:00 pm
Share:
0 comments: